VIP CULTURE AUR TAXPAYER KI BEIZZATI
VIP CULTURE AUR TAXPAYER KI BEIZZATI
“VIP Culture” aur Taxpayer ki Beizzati Aaj ka India “Digital India”, “Modern India”, “Viksit Bharat” ki baatein karta hai. Har jagah development ke bade-bade posters lagte hain. Flyover bante hain, expressway bante hain, metro chalti hai. Lekin ek sawaal har aam aadmi ke dimaag mein aaj bhi zinda hai — Kya iss desh mein sirf neta aur mantriyon ka time important hai? Hum public din-raat mehnat karke tax bharte hain. Petrol bharwate hain to tax. Mobile recharge karo to tax. Restaurant jao to tax. Ghar lo to tax. Salary aaye to tax. Yani is desh ki har road, har building, har सरकारी गाड़ी, har security convoy… sab aam janta ke paison se chal raha hai. Phir bhi jab koi minister ya VIP road par nikalta hai, to wahi taxpayer ghanto road par rok diya jata hai. Ambulance ruk jaye to chalega. Office jaane wala late ho jaye to chalega. Student exam miss kar de to chalega. Lekin VIP convoy bina rukawat ke nikalna chahiye. Ye kaisa “Modern India” hai? Janta tax bhi de… aur phir apni hi road par khade hokar intezar bhi kare? Aakhir kyun? Democracy ka matlab hota hai — “Government of the people, by the people, for the people.” Lekin ground reality kabhi-kabhi aisi lagti hai jaise: “People are only there to pay taxes and clear the roads.” Sabse badi irony ye hai ki election ke time yahi neta aam aadmi ke ghar tak pair pakad kar vote maangne aate hain. Tab unhe public “जनता जनार्दन” lagti hai. Aur kursi milte hi wahi public traffic mein khadi ek “disturbance” ban jati hai. Aaj ka educated youth sawaal pooch raha hai — Agar ek common citizen ka ek minute important nahi, to fir uske tax ka respect kaha hai? Japan, Europe aur kai developed countries mein ministers normal traffic rules follow karte hain. Wahan public ko inconvenience dena sharm ki baat maani jati hai. Aur hum yahan abhi bhi lal batti mentality aur road blocking ko power ka symbol samajh rahe hain. Sach to ye hai — Desh tab modern nahi banta jab sirf buildings modern ho jayein. Desh tab modern banta hai jab system aam aadmi ki izzat kare. Aam janta bevkoof nahi hai. Bas ab woh chup rehna kam kar rahi hai. #education #youth #CJP #CockroachJantaParty
Posted 22 May 2026